Dekhna he maal kitna pocket-o or Bill me he
Karta nhi kyu ger se Kuch baat chit
Kya pata kal Ho Mera charcha gali mehfile me hi
Ki bak diya he gali
mene uske dharm ko
Ab Kese batau me ki Kya usi ke dil me he??
Sarfaroshi ki Tamanna Kya humare dil me he...
Hota nhi kyu koi neta desh k upar shahid
Beh raha kyu khun Mera aj yu sadako par he
Sarfaroshi ki Tamanna Kya humare dil me he...
Dur le ayi he mujhko kahi "sale" hone ki umeed
Maa ki daal ka zikar bus hotel-o k bill me he
Ae sunahere mulk mere , me tere upar nisar
Aj tere kachre ka charcha UNO ki list me he
Sarfaroshi ki Tamanna Kya humare dil me he?
Camera taiyar liye media bhi he udhar
Aur idhar uthati he lashe bhuk se til til me he
Sarfaroshi ki Tamanna Kya humare dil me he...
Gar dikhe Hota tumhe kahi par koi juram
Hath Uth jate he lene selfie-ya with hashtag
Par nikalta candel-o aur March se jo gussa dil me he
Sarfaroshi ki Tamanna Kya humare dil me he...
Hum to ghar se nikle hi the ankho par chadha k rayben
Fone hatho par liye lo barh chale hain ye qadam
Zindagi to apni mehmaan
corporate -e-mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna kya hamaare dil mein hai?
Haath jin mein tha junoon katt gaye wo talvaar se
Sar jo uth jane the ab tk,voh jhuk gaye lalkaar se
Ab to bhadkao wo shola bhuj gaya jo dil mein hai
Sarfaroshi ki Tamanna Kya humare dil me he?
Mar rahe he aaj dekho har kahi par be-gunah..
Waqt bhi ab to ja chuka
Are ab Keh bhi do ,
kya dil me he
Sarfaroshi ki Tamanna Kya humare dil me he?
No comments:
Post a Comment