Tuesday, 15 September 2015

Chalo hum jute Badal kar Dekhte he

Chalo hum jute Badal kar Dekhte he,
Jab chalna hi umra bhar he to
, Kuch Yu Bhi kr k Dekhte he...

Chalte he kuch dur tumhare joote pehen kar
Kuch to samjh aye ki 
Kesa  safar raha tumhara ...
Tha patharila Wo rasta ya 
Chale ho angaro se per sekte ..
Chalo hum joote badal kar Dekhte he....

Shuruat me hui kuch adchane tumhare joote pehen kr chalne me...

Par sath mila tumhara to 
Wo adchane Bhi chali gayi apne raste...


Kehne ko to log kehte the 
Ki Ye joote pehen kr chalne wale 
Per apke...
Inme mojadi nahi jamegi..
Par shayad me hi galat Hona chahta THA ....
Tumhare joote pehen 
Zindagi ka safar chalna chahta tha...

Chalo un baatne walo se toda dur chalte he

Aao hum kuch dur Aur sath chalte he...
Chalo hum jute Badal kar Dekhte he,
Jab chalna hi umra bhar he to
, Kuch Yu Bhi kr k Dekhte he...

2 comments:

  1. Jaroor jute badalke dekhana par is jute badlaneke chakkar me 1 bad jaroor yaad rakhana..
    Kahi ham un logo ko na bhul jaye jo puri jindagi bina juto k katate he
    Nice 1...keep it up..

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete