Monday 6 July 2015

Ye viraniya ..

Ye viraniya ye banjar zameene hi Duniya ki sabse khubsurat jagah he..


 Ye hawaye jo teri khushboo le kar aa rhi he.:.


Yaha tanha Nhi hu ME
Khud se jo mil kr khush hu....

Is Udti raeth k sath ud raha hu..
Iske zarre zarre ko dekha he mene
Chhua he mene


In lehro me aks dikhta he mujhe...
Me bhi iske pani ki tarah khara ho gaya hu ...


Tujh bin is sard mausam ki baraf ki tarah ho gaya hu
Ab tu bhi in kirano ki tarah mujhe pighla de.::


Me bhi behna chahta hu
Tujhse Milna chahta hu..


In dharakhto me 
In khandaro me
Rehna chahta hu

Wo khandar jisme koi ata jata Nhi 
Us khandar ka hissa banna chahta hu ..

Me yaha basna chahta hu

No comments:

Post a Comment